AFREEN AFREEN LYRICS - RAHAT FATEH ALI KHAN
" Afreen Afreen "
Aesa dekha nahi khubsurat koi
Jism jese ajanta ki moorat koi
Jism jese nigaahon pe jaadu koi
Jism naghma koi
Jism khushbu koi
Jism jese mehakti hoi chaandni
Jism jese machalti hoi raagni
Jism jese k khilta hoa ek chaman
Jism jese k sooraj ki pehli kiran
Jism tarsha hoa dilkash o dilnasheen
Sandali sandali
Marmareen marmareen
Husn e janaan ki tareef mumkin nahi
Husn e janaan ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhey agar tou kahey hum nasheen
Afreen afreen afreen afreen
Husn e janaan ki tareef mumkin nahi
( Momina mustehsan)
Jaaney kese baandhay tuney
Ankhiyon k dor
Mann mera khincha chala aya
Teri ore
Mere chehrey ki subah
Zulfon ki shaam
Mera sab kuch hai piya
Ab se tere naam
Nazron ne teri chua
Tou hai yeh jaadu hoa
Honey lagi hun main haseen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
( Rahat fateh ali khan )
Chehra ek phool ki tarah shadab hai
Chehra uska hai ya koi mahtaab hai
Chehra jese gazal
Chehra jaan e gazal
Chehra jese qali
Chehra jese kanwal
Chehra jese tasawur bhi tasveer bhi
Chehra ek khuab bhi chehra tabeer bhi
Chehra koi alif lelwi daastan
Chehra ek pal yakeen
Chehra ek pal gumaan
Chehra jesa k chehra kahin bhi nahi
MahRu MahRu
MahJabeen MahJabeen
Husn e janaan ki tareef mumkin nahi
Husn e janaan ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhey agar tou kahey hum nasheen
Afreen afreen afreen afreen
Husn e janaan ki tareef mumkin nahi